qayamat-khez manzar mangta hai koi pyasa samundar mangta hai kahan lal-o-jawahar mangta hai jo apna dil munawwar mangta hai jo rakhta hai shuur-e-zindagani wo apna haq barabar mangta hai jise mazi ne bakhshi ho muraat wo mustaqbil munawwar mangta hai bura bhi chahta hai mera logo duaen bhi wo aksar mangta hai election mein ye fashion ho gaya hai gharibon se tawangar mangta hai jo apne aap se rahta hai tishna wahi 'mahmud' aksar mangta hai