qayamat se nahin kam us pe aa jaana mere dil ka

qayamat se nahin kam us pe aa jaana mere dil ka
bahut mushkil hai ab aasan hona meri mushkil ka

nigah-e-yas ne kya kah diya qatil se maqtal mein
tadapta hai jo khanjar kanpta hai hath qatil ka

sukun-e-dil jo hasil ho to koi kaamyabi ho
mohabbat tujh pe tohmat hai tadap jaana hi bismil ka

musallat hai khamoshi mauj-e-dariya par khuda rakkhe
mizaj achchha nazar aata nahin hai aaj sahil ka

utha kar subh-e-nau ne rukh se parda jab nazar dali
na jaane zard chehra pad gaya kyon mah-e-kaamil ka

surahi khud jhukegi khud chalenge jam sar ke bal
badal dunga main ab qanun saqi teri mahfil ka

wo kya batlaega 'anwar' tujhe rah-e-talab teri
pata jis ko nahin hai aaj tak khud apni manzil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close