tu jaanta hai tere jaan-nisar hain hum log

tu jaanta hai tere jaan-nisar hain hum log
rah-e-wafa mein magar sangsar hain hum log

hamare azm hain milon ke pattharon ki tarah
tera nishan teri rahguzar hain hum log

farishte mahw-e-tajjub hain aaj tak jin par
khirad ki zad mein wahi shahkar hain hum log

azal ko khinch ke le jaenge qayamat tak
tere karam se abhi paedar hain hum log

hamare zabt se qaem hai dosti ki rawish
na aazma ki tere gham-gusar hain hum log

mizaj-e-husn samajh kar bhi ishq kar baithe
khud apne zakhm ke parwardigar hain hum log

qarib-tar hai rag-e-jaan se bhi wahi 'anwar'
azal se jis ke liye be-qarar hain hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close