qayamat-shoKH aafat chulbula dil

qayamat-shokh aafat chulbula dil
mera dil aur phir kaisa mera dil

tere gesu se hai uljha hua dil
bahut ab had se apni badh gaya dil

tumhaare hath ka til ban gaya dil
tumhein dhoka na de bahrupiya dil

khuda ko jaan saunpi dil buton ko
hamare pas kya tha jaan ya dil

mujhe dekha to bole bazm mein wo
nae aae hain le kar ye naya dil

tere gesu se ye bal kar raha hai
kuchh ab aur zulfon wali badh chala dil

hamari jaan par ban ban gai hai
na de dushman ko bhi aisa khuda dil

na rang aae to us ki kya khata hai
hina ke sath kyun sana gaya dil

manae kaun kis ko kaun samjhae
udhar mashuq idhar bigda hua dil

ubhar kar dagh laya hai naya rang
barabar dil ke hai ek dusra dil

mere haq mein ye patthar ka bana tha
khudawanda buton se mil gaya dil

hasinon ko samajhta hi nahin kuchh
bahut banta hai khud mein khud-numa dil

milenge hashr mein dil lene wale
milega hashr mein bichhda hua dil

rahega yaad dil ka dil se milna
mili duniya mile hum tum mila dil

bahaar aai ki aai wasl ki sham
khile ghunche khili kaliyan khila dil

wo nawak ko nigah-e-naz samjha
usi dhoke mein to mara pada dil

bahut hi lutf se un se mili aankh
bahut hi lutf se un se mila dil

dil-e-marhum aata hai bahut yaad
'riyaz' aisa kahan ab chulbula dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close