aise hi kai shor machate hue dariya

aise hi kai shor machate hue dariya
aankhon se bahe josh mein aate hue dariya

ek khak ki nao ka safar jari hai phir bhi
munh-zor hain go jhag udate hue dariya

kya mere dar-o-baam ka afsos tha us ko
kyon dekh raha tha mujhe jate hue dariya

phulon se bhari shakh ko kal chhed raha tha
apne hi pasine mein nahate hue dariya

aae the masafat ko chhupae hue lekin
phir nauha-ba-lab ho gae gate hue dariya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close