qayas-o-yas ki had se nikal kar

qayas-o-yas ki had se nikal kar
chali jaun kahin chehra badal kar

udegi rakh phir meri hawa mein
subuk-raftar ho jaungi jal kar

main suraj ke taaqub mein rahungi
tulu-e-subh ho jaungi dhal kar

tilism-e-mehr-o-mah ko tod dale
zamin apni hararat se pighal kar

abhi pahla qadam tai kar rahi hun
dobara gir padi thi main sambhal kar

rahen phulon bhare raste salamat
safar katungi angaron pe chal kar

mere attar ne khushbu banai
bahut masum phulon ko masal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close