wafa ki rah mein har marhala aasan nahin hota kisi ko bhul jaana dard ka darman nahin hota pazirai kahan hoti hai ab shaista jazbon ki har aisa hadsa minnat-kash-e-ehsan nahin hota thikana ek hi rahta hai kab aazad bandon ka kabhi bhi sarfaroshon ka makan zindan nahin hota chhupa hai is tarah wo apne hi jalwon ke parde mein rukh-e-pur-nur uryan ho ke bhi uryan nahin hota wo apna ghar basa lega zara mohlat use dena koi bhi be-sahaara mustaqil mehman nahin hota ye mana hadsa hai zindagi se pyar karna bhi tumhaari tarah se kyon dil mera shadan nahin hota saliqa aap ne sikhlaya us ko jine marne ka 'munir' apni tabiat par kabhi nazan nahin hota