qaza ka tir tha koi kaman se nikal gaya wo ek harf jo meri zaban se nikal gaya bahut ziyaada jhukna pad raha tha us ke sae mein so ek din main us ke saeban se nikal gaya abhi to tere aur tere adu ke darmiyan hun agar kabhi main thak ke darmiyan se nikal gaya mere adu ke khwab chakna-chur ho ke rah gae main jast bhar ke dasht-e-imtihan se nikal gaya tere kalam-e-fan ka sirf main hi qadr-dan hun agar main teri is bhari dukan se nikal gaya