lauh-e-mahfuz tera zer-o-zabar kaisa hai ye khat-e-bul-ajabi pesh-e-nazar kaisa hai tu kahin aur basa hai to ye ghar kaisa hai la-makan wale ye mehrab ye dar kaisa hai naqsh ubhra bhi nahin tha ki mitane baithe mere paikar se jahan walon ko dar kaisa hai na koi shakh na patte na koi gul na shajar bich aangan mein khada hai jo shajar kaisa hai main isi waste duba ki samajh pao tum zer-e-sahil jo bhanwar hai wo bhanwar kaisa hai