qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona kuchh is se ziyaada hai mera khak pe hona har subh nikalna kisi diwar-e-tarab se har sham kisi manzil-e-ghamnak pe hona ya ek sitare ka guzarna kisi dar se ya ek piyale ka kisi chaak pe hona lau deti hai taswir nihan-khana-e-dil mein lazim nahin is phul ka poshak pe hona le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat' baran ka musalsal khas-o-khashak pe hona