wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar numayan ho gaya zauq-e-sitam chin-e-jabin ban kar bahut itra rahi hai raat zulf-e-ambarin ban kar bahut maghrur hai nur-e-sahar rang-e-jabin ban kar meri jama-dari ne raaz ye khola zamane par khirad dhoke diya karti hai jaib o aastin ban kar karam mein bhi magar ek ghamza-e-khun-rez shamil tha nigahon ki taraf utthi to dil ki nukta-chin ban kar meri diwangi thi ek sharar-e-arzu dil mein badhi to dar par raushan hui sham-e-yaqin ban kar payam aate rahe aksar kisi mahw-e-taghaful ke ada-e-bar-mala ban kar nigah-e-sharmagin ban kar wo ek sajda na ho paya jo barbaad-e-haram 'taban' jabin-e-shauq par raushan hai pindar-e-jabin ban kar