qismat ajib khel dikhati chali gai jo hans rahe the un ko rulati chali gai dil goya hadsat-e-musalsal ka shahar ho dhadkan bhi chikh ban ke daraati chali gai kaghaz ki tarah ho gai bosida zindagi tahrir hasraton ki mitati chali gai main chahti nahin thi magar phir bhi jaane kyun aai jo teri yaad to aati chali gai aankhon ki putliyon se tera aks bhi gaya yani charagh mein thi jo baati chali gai dhunda unhen jo raat ki tanhai mein 'haya' ek kahkashan si zehan pe chhati chali gai