samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha ghubar ta-falak is khaksar ka pahuncha tu sach bata ki tujhe itni kyun hai bechaini magar payam kisi be-qarar ka pahuncha male hai panw se apne wo lala-ru har-dam ye martaba to dil-e-dagh-dar ka pahuncha hai yan talak to nazakat gulon ke gajre se lachakne lagta hai us gul-azar ka pahuncha qafas se chhutne ki ummid hi nahin 'afsos' husul kya hai jo muzhda bahaar ka pahuncha