qismat-e-shauq aazma na sake un se hum aankh bhi mila na sake hum se yan ranj-e-hijr uth na saka wan wo majbur the wo aa na sake dar ye tha ro na den kahin wo unhen hum hansi mein bhi gudguda na sake hum se dil aap ne utha to liya par kahin aur bhi laga na sake ab kahan tum kahan wo rabt-e-wafa yaad bhi jis ki hum dila na sake dil mein kya kya the arz-e-haal ke shauq us ne puchha to kuchh bata na sake hum to kya bhulte unhen 'hasrat' dil se wo bhi hamein bhula na sake