raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam hairat ghurur-e-husn se shokhi se iztirab dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam allah-ri jism-e-yar ki khubi ki khud-ba-khud ranginiyon mein dub gaya pairahan tamam dil khun ho chuka hai jigar ho chuka hai khak baqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam dekho to chashm-e-yar ki jadu-nigahiyan behosh ek nazar mein hui anjuman tamam hai naz-e-husn se jo farozan jabin-e-yar labrez aab-e-nur hai chah-e-zaqan tamam nash-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam us naznin ne jab se kiya hai wahan qayam gulzar ban gai hai zamin-e-dakan tamam achchha hai ahl-e-jaur kiye jaen sakhtiyan phailegi yun hi shorish-e-hubb-e-watan tamam samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qarib-e-marg maghrib ke yun hain jama ye zagh o zaghan tamam shirini-e-nasim hai soz-o-gudaz-e-'mir' 'hasrat' tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam