qismat hi se jine ka saman milega rah-rawo ab aage registan milega bahar niklo sab se rasm-o-rah badhao jitni chot lagegi utna giyan milega maut se aise aankh-micholi khel rahe ho jaise tum ko phir se jiwan-dan milega shak ho koi to dekh lo tum ek mauqa de kar har insan ke andar ek haiwan milega logon ki dastar uchhaali hi jaegi ochhe ko jab mansab aalishan milega ummidon ki ainak pahne dhund raha hun shahr mein aakhir koi to insan milega sachcha shair aur aasuda-khatir 'ambar' jab dekhoge wo tum ko hairan milega