pareshan kyon na ho jaun kisi pagal ki surat nazar aati hai mujh ko aane wale kal ki surat suna tha ishq ka rasta bada kanton bhara hai main sach kahta hun mujh ko to laga makhmal ki surat rag-o-pai mein na jaane kaun aa kar bas gaya hai mahakti hain meri tanhaiyan sandal ki surat mohabbat ka hukumat ka ki daulat ka nasha ho bana deta hai ye insan ko pagal ki surat taffun ka to sara shahr aadi ho chuka hai mahak kar kya karenge hum bahut sandal ki surat mere josh-e-numu se tum abhi waqif nahin ho panap sakta hun diwaron se main pipal ki surat main apne zauq ko bedar rakkhun kaise 'ambar' bahut din ho gae dekhe bhari botal ki surat