qismat ki baat kar na muqaddar ki baat kar husn-e-amal ki husn-e-tadabbur ki baat kar kar apne ghar ki baat to auqat apni dekh dara ki baat kar na sikandar ki baat kar kya gham jo mal-o-zar se nahin faizyab tu shikwa na kar kisi se muqaddar ki baat kar jo kuchh mila hai tujh ko muqaddar ki den hai aql-o-hunar na husn-e-tadabbur ki baat kar shair hai agar sher ki qimat na kar wasul apna hunar na bech sukhan-war ki baat kar yakta ho be-misal ho lakhon mein ek ho aise hi kisi mard-e-dilawar ki baat kar kis makhmase mein pad gaya 'azam' tu aaj-kal wahm-o-guman ko chhod hunar-war ki baat kar