jaane in aankhon mein ye kaisa nasha rakha hai

jaane in aankhon mein ye kaisa nasha rakha hai
jis ne dekha use badmast bana rakha hai

tum pilaoge to pi lenge hamein kya is se
zahar hai jam mein ya aab-e-baqa rakha hai

ham-nashini se tumhaari hai bahaar-e-hasti
in shab-o-roz mein tum hi kaho kya rakha hai

is tarah aane se behtar tha na aate sahab
chand lamhon ki mulaqat mein kya rakha hai

mausamon ki tarah badla kiye wo par hum ne
khud ko har haal mein paband-e-wafa rakha hai

aap ka bazm-e-tasawwur mein chale aa jaana
hum ko mahaul se begana bana rakha hai

sher apne nahin mamnun kisi ke 'najmi'
hum ne ba-fazl-e-khuda zehn-e-rasa rakha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close