qismat se jis kisi ko tera aastan mile

qismat se jis kisi ko tera aastan mile
us ka mizaj farsh-e-zamin par kahan mile

har ek ko ye rutba-e-ali kahan mile
wo khush-nasib hai jise dard-e-nihan mile

sahba-e-ishq marifat-e-haq mile mujhe
phir kuchh yahan mile na mujhe kuchh wahan mile

tufan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah
hum log be-aman hain hamein bhi aman mile

ma'lum ye hua ki teri anjuman thi wo
ahl-e-zaban bhi hum ko jahan be-zaban mile

nadan hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh
gum-karda kaenat ka shayad nishan mile

'hamza' bhatak rahe hain bhala kis dayar mein
chaliye wahan zamin se jahan aasman mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close