qisse bachpan ke jo ek roz suhane nikle dushmanon mein hi kai dost purane nikle kar liya tark-e-talluq ka irada to use meri har baat mein phir kitne bahane nikle sukhti kasht pe ek roz jo barsa pani nanhe bachche sabhi ganw ke nahane nikle qafile yaadon ke yak-lakht dabe panw se meri aankhon se meri nind churane nikle shama ek samt jali aur udhar parwane apne hi khun ke dariya mein nahane nikle rukh jo pazhmurda kisi shokh ka dekha to laga kaise guzri hai shab-e-gham ye batane nikle 'nazr' phir aaya hai ek rasm nibhane ka din saj sanwar ke sabhi rawan ko jalane nikle