waqt achchha jo mera tha pahle har nazar ko main bhala tha pahle ab kahin ja ke fasana samjha us ke munh se na suna tha pahle sirf hum hi na hue the pagal kuchh to us ko bhi hua tha pahle hai zamin-bos imarat itni is ka sina bhi tana tha pahle zindagi kha ke thapede bigdi main to itna na bura tha pahle baad mein dil se gai shirini zahr duniya ne bhara tha pahle dhul jab tak na hati aankhon se saf 'talib' na dikha tha pahle