qubul ho gai us ki dua to kya hoga agar wo ban gaya ek din khuda to kya hoga zawal-e-fikr-o-nazar ka ye silsila ek din shikast-e-fikr-o-nazar ban gaya to kya hoga kabhi to puchhe koi raushni-faroshon se agar charagh-e-mohabbat bujha to kya hoga nami makan ki sahmi hui hai mausam se ghata jo ho gai mujh se khafa to kya hoga ghanere ped ke sae mein hansne wale charagh jo apne rukh ko badal de hawa to kya hoga ghazal zad mein abhi hai shikar kar le 'fahim' nishana ho gaya phir bewafa to kya hoga