qubul hoti hui bad-dua se Darte hain

qubul hoti hui bad-dua se darte hain
wagarna log kahan ye khuda se darte hain

chalo ki faisla aakhir yahan tamam hua
ye kam-nasib teri khak-e-pa se darte hain

sabhi se kahte hain bas khair ki dua mango
kabhi kabhi to hum itna khuda se darte hain

yahi burai hai bujhte hue charaghon mein
ye khushk patton ki surat hawa se darte hain

jo dekhte hain use kuchh nahin samajhte magar
jo dekhna hai usi ki saza se darte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close