mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun aastinon mein kahin khanjar chhupa rakhta hai kaun sabz shakhon par sunahre phul se khilne lage lab-ba-lab mausam-asar aisi dua rakhta hai kaun ye jo meri zat mein baitha hua hai main nahin mujh ko mere ru-ba-ru mujh se juda rakhta hai kaun jo bhi hai mera amal wo bhi amal mera nahin phir bhi mere nam se sab kuchh likha rakhta hai kaun jaane wala ja chuka munh mod ke barson hue dil ki chaukhat par magar ab bhi diya rakhta hai kaun rakh diya dair-o-haram mein us ko rakhne ko 'rafiq' dekhna meri tarah mera khuda rakhta hai kaun