qudrat hai turfa-kar tujhe kuchh khabar bhi hai wo aaina-shikan bhi hai aaina-gar bhi hai sahra ko chhod den to kahan ja ke ye rahen aawargan-e-ishq-o-mohabbat ka ghar bhi hai masjud kaenat ho jaise nazar-nawaz kitna latif waqt tulu-e-sahar bhi hai kabe ka ehtiram hai ek farz-e-khush-gawar main kya karun nazar mein tera sang-e-dar bhi hai saqi wo mai pila ki hamesha rahe surur mahfil mein mujh sa baada-kash-e-mo'atabar bhi hai na-ashna-e-ghairat-parwaz hain asir qaid-e-qafas mein tazkira-e-baal-o-par bhi hai taqdir naz karti hai hoti hai jab nasib 'shaariq' shikast-e-dil ko nawed-e-zafar bhi hai