wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain pas-o-pesh-e-sitam pesh-o-pas-e-mahmil mein rahte hain nuqush-e-rah-raw-e-manzil rah-e-manzil mein rahte hain chakoron ke nishan-e-gham mah-e-kaamil mein rahte hain gham-e-ishq-e-haqiqi be-asar ho jae na-mumkin numayan laghzish-o-rasha kaf-e-qatil mein rahte hain jo arman lab pe aa ke mojib-e-qatl-e-ghariban hain wahi arman poshida dil-e-qatil mein rahte hain hazaron kashtiyan us par ho jati hain sahil ke hamare waste tufan chhupe sahil mein rahte hain hamesha zindagi katti rahi tarik raaton mein na jaane jwar-bhate kyun hamare dil mein rahte hain zamana ke hawadis se na dar hargiz muqabil aa jo ahl-e-dil hain duniya mein wahi mushkil mein rahte hain mai-e-rangin surud-e-shokh raqs-e-dil-ruba shab ko sahar ko 'soz' furqat ke nishan mahfil mein rahte hain