qurb-e-jaanan ka na mai-khane ka mausam aaya phir se be-sarfa ujad jaane ka mausam aaya kunj-e-ghurbat main kabhi gosha-e-zindan mein the hum jaan-e-jaan jab bhi tere aane ka mausam aaya ab lahu rone ki khwahish na lahu hone ki dil-e-zinda tere mar jaane ka mausam aaya kucha-e-yar se har fasl mein guzre hain magar shayad ab jaan se guzar jaane ka mausam aaya koi zanjir koi harf-e-khirad le aaya fasl-e-gul aai ki diwane ka mausam aaya sail-e-khun shahr ki galiyon mein dar aaya hai 'faraaz' aur tu khush hai ki ghar jaane ka mausam aaya