zulf chhutti tere rukh par to dil apna phirta ghar ko be-sham nahin subh ka bhula phirta dekhne ko jo mera tu na tamasha phirta to main jun shoala-e-jawwala na chalta-phirta kab jafaon se teri dil hai hamara phirta shak agar tujh ko hai zalim to dobara phirta bakht-e-bargashta-e-majnun abhi sidhe ho jaen dasht mein aae agar naqa-e-laila phirta gardish-e-charkh se sar kyun na mah-o-khur ka phire ki shab o roz ye rahta hai hindola phirta jins-e-dil ka teri us zulf se phirna malum ho ke khat-kash jo bike wo nahin sauda phirta khal-e-rukhsar-e-butan ka nahin bharta ye khayal kishwar-e-dil mein hamare hai kanhayya phirta dil ki qismat mein azal se thi likhi tishna-labi kyun na us chah-e-zaqan se ye piyasa phirta sharm se daman-e-sahil mein chhupi hai har mauj tu jo athkheliyon se hai lab-e-dariya phirta dard-e-dil ishq ki chausar mein na katti hargiz gar kabhi jit ka apni koi pasa phirta aaj piri mein bhi apne na phire bakht-e-siyah ki darakhton ka bhi din dhalte hi saya phirta tut jati jo kabhi aas tere milne ki to na lattu ki tarah dil ye hamara phirta bais-e-jumbish-e-insan hai to ai tar-e-nafas warna ye baith ke uthta na ye chalta-phirta sair-e-sahra-e-junun-khez ka arman na raha tere hathon se main kya aabla-e-pa phirta tu ne har kaam pe ki chasm-numai warna main bagule ki tarah khak udata phirta apne girye ki dikhata main tujhe tughyani gar shab-e-wasl mere pas na tu aa phirta anjum-e-charkh bhi ban jate hain manind-e-habab mah ka surat-e-girdab hai baala phirta likh 'nasir' ek ghazal aur badal kar ke radif tausan-e-khama hai ab dekh to kaisa phirta