qurb-e-manzil tut jae hausla achchha nahin fasl ko pakne se pahle katna achchha nahin dubne wale bhi us kashti ke kam shatir na the aadatan kahte rahe the na-khuda achchha nahin ghair ko pahle parakhte mujh se phir munh modte jald-bazi mein tumhaara faisla achchha nahin main to bazi haar kar be-fikr ho kar chal diya jitne walon ko chaska lag gaya achchha nahin khizr ki miras ka wo aaj dawedar hai be-chale kahta hai jo ki rasta achchha nahin rasta chalte raho warna 'wafa' kho jaoge achchhe-khase silsile ko todna achchha nahin