zindagi ki tha alamat ek hunar be-jaan sa rah gaya taswir koi dekh kar hairan sa teri yaaden dafn kar deti hain us ke zor ko roz uthta to hai dil mein ja-ba-ja tufan sa raunaq-e-shahr-e-riya takhir honi thi hui raste mein pad gaya tha ek khandar viran sa aap aaenge to wahshat sath le kar aaenge rasta aata hai mere ghar pe ek sunsan sa puchhne aata nahin koi mere haalat ab main watan mein ho gaya hun apne hi anjaan sa jab safar tai kar liya tab is ka andaza hua dekhne ko rasta to tha bahut aasan sa koi puchhe rahbar se rakht-e-jaan rakht-e-safar qafila jata kahan hai be-sar-o-saman sa kaghzi phulon pe titli koi aai nahin mez par rakkha hua tha yun to ek gul-dan sa