qurb hai wasl mayassar nahin hone pata kab se ek qatra samundar nahin hone pata allah allah ye sannai-e-naqqash-e-azal ek bhi naqsh mukarrar nahin hone pata apne qadmon se kuchal deta hai saya mera jo mere qad ke barabar nahin hone pata ab to nakaam tamannaon ke matam ke liye ek lamha bhi mayassar nahin hone pata itna idrak hai apne qad-o-qamat ka mujhe main kabhi jame se bahar nahin hone pata mujh se sarzad jo hua hai wo gunah hai ki sawab mujh ko mahsus bhi aksar nahin hone pata