palaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de

palat kar dekh lena jab sada dil ki sunai de
meri aawaz mein shayad mera chehra dikhai de

mohabbat raushni ka ek lamha hai magar chup hai
kise sham-e-tamanna de kise dagh-e-judai de

chubhen aankhon mein bhi aur ruh mein bhi dard ki kirchen
mera dil is tarah todo ke aaina badhai de

khanak utthen na palkon par kahin jalte hue aansu
tum itna yaad mat aao ke sannata duhai de

rahega ban ke binai wo murjhai si aankhon mein
jo budhe bap ke hathon mein mehnat ki kamai de

mere daman ko wusat di hai tu ne dasht-o-dariya ki
main khush hun dene wale tu mujhe katra ke rai de

kisi ko makhmalin bistar pe bhi mushkil se nind aae
kisi ko 'naqsh' dil ka chain tuti chaarpai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close