qurban jaun husn-e-qamar intisab ke

qurban jaun husn-e-qamar intisab ke
aariz hain ya hain phul shagufta gulab ke

ab din kahan rahe wo hamare sabaat ke
ek dhup thi jo sath gai aaftab ke

har ek ada mein us ki hai qaus-e-quzah ka rang
hai guftugu mein kitne hawale kitab ke

haalat ne jhinjhod ke hoshiyar to kiya
jage hue hain phir bhi to aasar khwab ke

phaila chuke hain firqa-parasti ka zahr wo
aae hain samne jo adad intikhab ke

goli se hal na honge mohabbat se honge hal
qaziye hon kashmir ke ya panj-ab ke

nikli saron ki fasl hai gobhi ke khet se
khilte jahan ye phul the kal tak gulab ke

pir-e-mughan se 'fakhr' yahi ek sawal hai
aundhe hain aaj jam-o-subu kyun sharab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close