asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue

asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue
qatra hai be-qarar samundar liye hue

aashob-e-dahr o fitna-e-mahshar liye hue
pahlu mein yani ho dil-e-muztar liye hue

mauj-e-nashim-e-subh ke qurban jaiye
aai hai bu-e-zulf-e-moambar liye hue

kya mastiyan chaman mein hain josh-e-bahaar se
har shakh-e-gul hai hath mein saghar liye hue

qatil nigah-e-yas ki zad se na bach saka
khanjar the hum bhi ek tah-e-khanjar liye hue

khira kiye hai chashm-e-haqiqat-shanas bhi
har zarra ek mehr-e-munawwar liye hue

pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
hum aaj tak wo chot hain dil par liye hue

taswir hai khinchi hui naz-o-niyaz ki
main sar jhukae aur wo khanjar liye hue

sahba-e-tund-o-tez ko saqi sambhaalna
uchhle kahin na shisha-o-saghar liye hue

main kya kahun kahan hai mohabbat kahan nahin
rag rag mein daudi phirti hai nashtar liye hue

nam un ka aa gaya kahin hangam-e-baz-purs
hum the ki ud gae saf-e-mehshar liye hue

'asghar' harim-e-ishq mein hasti hi jurm hai
rakhna kabhi na panw yahan sar liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close