qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata wo shakhs koi faisla kar bhi nahin jata aankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badri mein aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata hum dohri aziyyat ke giraftar musafir panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jata pagal hue jate ho 'faraaz' us se mile kya itni si khushi se koi mar bhi nahin jata