wo to khush-bu hai hawaon mein bikhar jaega masala phul ka hai phul kidhar jaega hum to samjhe the ki ek zakhm hai bhar jaega kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega wo hawaon ki tarah khana-ba-jaan phirta hai ek jhonka hai jo aaega guzar jaega wo jab aaega to phir us ki rifaqat ke liye mausam-e-gul mere aangan mein thahar jaega aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi tera ye pyar bhi dariya hai utar jaega mujh ko tahzib ke barzakh ka banaya waris jurm ye bhi mere ajdad ke sar jaega