qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain kitni aazadi se hum apni hadon mein qaid hain kaun si aankhon mein mere khwab raushan hain abhi kis ki ninden hain jo mere ratjagon mein qaid hain shahr aabaadi se khali ho gae khushbu se phul aur kitni khwahishen hain jo dilon mein qaid hain panw mein rishton ki zanjiren hain dil mein khauf ki aisa lagta hai ki hum apne gharon mein qaid hain ye zamin yunhi sikudti jaegi aur ek din phail jaenge jo tufan sahilon mein qaid hain is jazire par azal se khak udti hai hawa manzilon ke bhed phir bhi raston mein qaid hain kaun ye patal se ubhra kinare par 'salim' sar-phiri maujen abhi tak daeron mein qaid hain