koi us sitamgar ko aagah kar de ki baz aae aazar dene se jhat-pat udhar ki idhar aaj hoti hai duniya mariz-e-mohabbat badalta hai karwat kabhi parda-dari kabhi khud-numai kabhi kuchh rukawat kabhi kuchh lagawat tumhaari ye chaaron adaen ghazab hain ye chaaron karengi hazaron ko chaupat qayamat na utthe ki utthe jahan mein magar bil-yaqin main to utthunga jhat-pat tah-e-qabr jis waqt mujh ko milegi sar-e-qabr kuchh un ke qadmon ki aahat koi kis tarah is ko taslim kar le ki donon akele basar kar rahe hain tere gird teri adaon ka majma meri hasraton ka mere pas jamghat khuda jaane aapas mein kya pesh aae ye takhir-o-tajil kya rang lae hamara irada ki fauran na den dil tumhaari tamanna ki mil jae jhat-pat kahan lutf-e-bazm-e-masarrat uthaya kahan daur-e-pur-kaif guzre nazar se mai-e-nab auron ke hisse mein aai hamare muqaddar mein thi sirf talchhat udhar wo bhi sargarm-e-zulm-o-jafa hai idhar hum bhi masruf-e-ah-o-buka hain kahin badhte badhte na badh jae jhagda kahin hote hote na ho jae khatpat ye kyun hai tammul ye kyun hai tawaqquf ye inkar kya hai ye aghmaz kya hai ladao bhi aankhen milao bhi nazren dikhao bhi mukhda uthao bhi ghunghat bahut kuchh chhupaya bahut kuchh bachaya magar pesh-bandi na kuchh kaam aai kiye khanjar-e-naz ne chaar tukde bil-akhir hua dil mohabbat mein chaupat mohabbat mein ye jhidkiyan bhi abas hain ye har waqt ki dhamkiyan bhi abas hain karam ho ki mujh par sitam ho tumhaara na utthunga dar se na chhodunga chaukhat bayan-e-tamanna suna aur sun kar badi der se ghaur farma rahe hain na aaenge ya mere ghar aa gae wo jo hona ho irshad ho jae jhat-pat sitam bhi uthae hazaron tarah ke balaen bhi jhelin hazaron tarah ki hua tajraba hum ko ye dil laga kar hasinon se dil ka lagana hai jhanjhat tere ishq mein kyun na main dil ko roun jigar ke liye kyun na main aah khinchun shab-o-roz ki mukhtalif aafaton ne ise kar diya chit use kar diya pat bana ghairat-e-aina dil hamara ghubar aae kyun kar kudurat rahe kya masal hai wo khas-kam jahan pak wali na is ghar mein kuda na us ghar mein karkat mohabbat ke raste mein ai shauq-e-manzil milega ajab lutf pa-e-talab ko udhar khar hain aur idhar aable hain agar nazr han wo hain to ye hain munh-phat tere ishq mein chain se kya rahun main tere ishq mein jab na de chain mujh ko nazar ka palatna zaban ka badalna muqaddar ki gardish zamane ki karwat ye ai 'nuh' kis ne tumhein rae di thi ki tufan uthao zamin-dar ho kar ab achchha tamasha nazar aa raha hai tah-e-ab khata sar-e-ab khewat