qurbaten na ban pae fasle simat kar bhi hum ki ajnabi thahre aap se lipat kar bhi hadson ne har surat apni zad mein rakhna tha hum ne chal ke dekha hai raste se hat kar bhi aagahi ki manzil se laut jaen hum kaise us jagah nahin jaez dekhna palat kar bhi hum ne lakh samjhaya dil magar nahin mana mutmain sa lagta hai kirchiyon mein bat kar bhi dasht-e-dil se jo uttha ho ke surat-e-shabnam rah gaya hai palkon par wo ghubar chhat kar bhi pattharon ke tufan mein dil-numa gharondon ne aazma liya aakhir khud ko aaj dat kar bhi daeron ke rahi the manzilen kahan miltin be-murad hain panw gard-e-rah se at kar bhi