shah-e-alam ko sar-e-am suna baitha hun mere maula teri chaukhat se laga baitha hun mujhe malum hain aadab-e-nashist-o-barkhast tere darbar mein ek umr utha baitha hun isi mausam ki tamanna thi kai barson se baadban kholne the aur gira baitha hun bhul jaana tha jise sabt hai dil par mere yaad rakhna tha jise us ko bhula baitha hun baat kaise main karun aankh mila kar us se samne jis ke nigahon ko jhuka baitha hun wapsi ka koi rasta nahin milta 'yasir' kashtiyan apni main pahle hi jala baitha hun