qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha ek bar bichhde to rabta nahin rakkha itna to samajhte the hum bhi us ki majburi intizar tha lekin dar khula nahin rakkha hum ko apne bare mein khush-gumaniyan kyun hon hum ne ru-ba-ru apne aaina nahin rakkha jab pata chala is mein sirf khun jalta hai us ke baad sochon ka silsila nahin rakkha har dafa wahi chehre barha wahi baaten in purani yaadon mein kuchh naya nahin rakha apne apne raste par sab nikal gae ek din sath chalne walon ne hausla nahin rakkha jab hawa ke rukh par hi kashtiyon ko bahna tha tum ne baadbanon ko kyun khula nahin rakkha hum ko apne bare mein harf harf likhna tha dastan lambi thi hashiya nahin rakkha