KHamosh kis liye baiThe ho chashm-e-tar kyun ho

khamosh kis liye baithe ho chashm-e-tar kyun ho
koi khafa ho kisi se to is qadar kyun ho

nazar ki pyas bujha do jo ek nigah se tum
to har nazare se ruswa meri nazar kyun ho

junun ki jada-tarashi hai bankpan mera
ye rahguzar-e-jahan apni rahguzar kyun ho

gira tha jam na tuta tha koi aaina
shikast-e-dil ki bhala aap ko khabar kyun ho

rafiq ta-ba sahar hai sitara-e-shab-e-gham
ye bewafa sa ujala bhi ham-safar kyun ho

kabhi na ruthne wale bhi ruth jate hain
ye baat pyar mein hoti to hai magar kyun ho

gham-e-zamin se yahan fursat-e-nazara kise
gali mein tum bhi chale aao baam par kyun ho

shab-e-firaq hi achchhi koi ummid to hai
baghair un ke sahar ho to phir sahar kyun ho

wo sher sada sahi sun ke dil bhar aae 'shamim'
jo pur-khulus ho lahja to be-asar kyun ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close