qusur-war jo tum ho khata hamari bhi hai diye bujhane mein shamil hawa hamari bhi hai bahut aziz hamein teri dosti hai magar agar ghurur hai tujh mein ana hamari bhi hai hamein bhi zeb-e-samaat kabhi banaya jae dabi dabi hi sahi ek sada hamari bhi hai kisi ne dil pe mere hath rakh ke puchha tha teri bahisht mein kya koi ja hamari bhi hai hum is zamin se kis tarah dast-kash ho jaen isi zamin ke andar ghiza hamari bhi hai har ek aankh mein khud ko talash karte hain abhi shanakht 'talab' gum-shuda hamari bhi hai