rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se mujhe chhua hai kisi ne hazar pahlu se badal ke rakh diya jangal ko shahr mein us ne tamam dasht pareshan hai ek aahu se khuda ke waste ab rok bhi ye raqs-e-junun sada kuchh aur hi aane lagi hai ghunghru se unhen main waqt ke kandhe pe dal deta hun jo bojh uthte nahin mere dast o bazu se har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq kisi ne khun se likha hai kisi ne aansu se mera sawal ghazal ke mukhalifin se hai mujhe nikal ke dikha den ghazal ke jadu se