raat aa baithi hai pahlu mein sitaro takhliya ab hamein darkar hai khalwat so yaro takhliya aankh wa hai aur husn-e-yar hai pesh-e-nazar shash-jihat ke baqi-manda sab nazaro takhliya dekhne wala tha manzar jab kaha darwesh ne kaj-kulaho baadshaho taj-daro takhliya gham se ab hogi barah-e-rast meri guftugu dosto timar-daro gham-gusaro takhliya chaar jaanib hai hujum-e-na-shanayan-e-sukhan aaj pure zor se 'faris' pukaro takhliya