kaise kah deta koi kirdar chhota pad gaya jab kahani mein likha akhbar chhota pad gaya sadgi ka nur chehre se tapakta hai huzur main ne dekha jauhari bazar chhota pad gaya muskurahat le ke aaya tha wo sab ke waste itni khushiyan aa gain ghar-bar chhota pad gaya darjanon qisse-kahani khud hi chal kar aa gae us se jab bhi main mila itwar chhota pad gaya ek bharosa hi mera mujh se sada ladta raha han ye sach hai us se main har bar chhota pad gaya us ne to ehsas ke badle mein sab kuchh de diya faede nuqsan ka bewpar chhota pad gaya ghar mein kamre badh gae lekin jagah sab kho gai buildingen unchi hui aur pyar chhota pad gaya ganw ka bichhda koi rishta shahr mein jab mila rupaya dollar ho ki dinar chhota pad gaya mere sir par hath rakh kar mushkilen sab le gaya ek dua ke samne har war chhota pad gaya chahaton ki ungliyon ne us ka kandha chhu liya sone chandi motiyon ka haar chhota pad gaya