raat aai to taDapne ke bahane aae

raat aai to tadapne ke bahane aae
ashk aankhon mein to honton pe tarane aae

phir tasawwur mein hi hum ruth ke badle pahlu
phir khayalon mein hi wo hum ko manane aae

un ke kuche mein jo ek umr guzari hum ne
ye kahani bhi wo ghairon ko sunane aae

ye bhi sach hai ki har zakhm mila hai un se
aur wahi chupke se marham bhi lagane aae

jazba-e-did-e-tasawwur ko uthae 'asha'
apni aankhon mein liye khwab purane aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close