raat aankhon mein guzri sapne bhig gae barish se khidki ke shishe bhig gae barish ki bochhad to andar tak aai khushk tanon ke sab andaze bhig gae bhig gae sab apni apni yaadon mein kuchh rote kuchh hanste hanste bhig gae bhig gae sab khat rakkhe almari mein aur un mein sab likkhe wade bhig gae dekh diye ki lau tu ne to dekhe hain kitni aankhen kitne takiye bhig gae baadal ke hamrah school se nikle the ghar tak aate aate baste bhig gae udte panchhi teri manzil dur hai kya dekh musafir tere kapde bhig gae raat sitare aangan aur udas aankhen teri baaten karte karte bhig gae bahar aa kar dekh ye manzar shahzadi hum teri dahliz pe baithe bhig gae jaane kaise mausam ki ye barish thi meri aankhen tere sapne bhig gae jis basti mein dhup sa rup chamakta tha us basti ke sare raste bhig gae