machhliyan jal machhere dariya ye mere khwab ye bahte dariya barf pighli teri aahat pa kar teri aawaz pe jage dariya ye rawani nahin dekhi hogi tu ne dekhe hain bahut se dariya jis ne dekhi nahin aankhen teri wo kabhi sham ko dekhe dariya kis ko kis par utarna hai bata is kahani mein hain kitne dariya kashti-e-nuh mein baitha hun main kya pichhe tufan hai aur aage dariya dubne wale batate hi nahin kis qadar hote hain gahre dariya bastiyan un ko bhi aati hain nazar itne andhe nahin hote dariya tu ne payab kiya hai mujh ko main hua karta tha pahle dariya tu nahin jaanta pani ki kashish tu ne dekhe nahin aise dariya